Sunday, July 9, 2017

Rain and a Feel!

I never had such days
I never had such nights
A thought of some one
Every now and then...

The mist and the rain
They look to smile on my pain.
So near yet so far,
So far yet so near.
It feels a feel that I could feel
like I did never feel...

My Queen,
This season would not define.
That what I am missing
From my daily routine...

Sunday, April 13, 2014

Yeh pyaar ek khwaab hai...

sookhi padi dhrti ke is tukde par
woh matwala badal roz barsta
Saari dharti tapti, or woh sirfira
is chhoti banjar dhrti ko roz aakar sinchta.
yeh adbhut tha dekhna ki, har din woh badal
yahin kyun barsta hai, isi jagah par
kuchh din beete,or do chhoti si koplen niklin,
or woh baadal khub naacha,woh paagal khub barsa
kuchh waqt aur beeta,Ankur paudha bana
badal bhi ab bada hogaya
dono shayad saath me khelte hain...
kabhi baadal nahin aata to
woh paudha murjha jaata,jaise wo kisi ghum me ho
woh paudha ab bada hogaya hai...
vishal seena tane jamin pe khada hogaya hai.
aur woh baadal ka tukda nahin rha, meghraj hogaya hai
jo wahin ped ke daliyon pe pada rhata,khelta patte udata
Halki-halki thandi hawa ke thapkiyon se pend ko sulata
Ab to suraj bhi yahaan muskurata hai
Thodi der unke saath baith kar sustata hai.
Yeh pyaar ek khwaab hai.............................
adef482b3e52c3f17affe26545165814fc09209e96e3e3829d

Sang chal...

do pal
to chal,

akele hi
chal rhe
har pal.
Tu bhi
tanha,
Main bhi
ekal.
main girun
tu bhi fisal,
raah kahe
sambhal sambhal.
panv  mere
pade jami pe,
us par tera
panw ho.
main chalun
jamin pe,
usse upar
Tu chal........

Teri Ankhiyaan...

                                                                    Gahri surmayi shaam si
kajarari tori ankhiyaan,
plaken na jhapkna
kaa se injor karenge angna ki
ab nahin bachi mombattiyaan.
kuchh na kahiyo labon se teri
baaten bahut karti hain
baatuni tori ankhiyaan.… 

Ek Sawaal ho...














kya ho,tum ho
kya ho,tum nahin ho
aansu tab bhi khara tha
ab sara zheel khara ho

khayal ho, tum ho
tum ho, khyal ho
haqiqat me ek sawal ho
tum pass ho ki door ho… 

Sab ek hain...

Eid gaya holi bhi gayi
yun hi kitne tyohaar gaye
dil na mila ab bhi apna
bas sasti ishtehaar gaye.

mazhab badal badal kar dekha
naa din badla naa raaten badlin
naa sharhad,
na sharhad ki sougaten badlin.

duniya me na jaane kitne
mazhab roz naye bante hain
Mandir mashjid khub banaya
bas insaan banna bhul gaye hain.

Yaaden Teri...


    darwaje pe dastak deti
thandi thandi teri saanson si
yaadon ke halke halke jhonke

din to main yun hi ginta hun
raat beeti fir teri yaadon me
saanson me jo saansen hain teri
bas wohi chalti rahti hain...