Eid gaya holi bhi gayi yun hi kitne tyohaar gaye
dil na mila ab bhi apna
bas sasti ishtehaar gaye.
mazhab badal badal kar dekha
naa din badla naa raaten badlin
naa sharhad,
na sharhad ki sougaten badlin.
duniya me na jaane kitne
mazhab roz naye bante hain
Mandir mashjid khub banaya
bas insaan banna bhul gaye hain.
No comments:
Post a Comment