sookhi padi dhrti ke is tukde par
woh matwala badal roz barsta
Saari dharti tapti, or woh sirfira
is chhoti banjar dhrti ko roz aakar sinchta.
yeh adbhut tha dekhna ki, har din woh badal
yahin kyun barsta hai, isi jagah par
kuchh din beete,or do chhoti si koplen niklin,
or woh baadal khub naacha,woh paagal khub barsa
kuchh waqt aur beeta,Ankur paudha bana
badal bhi ab bada hogaya
dono shayad saath me khelte hain...
kabhi baadal nahin aata to
woh paudha murjha jaata,jaise wo kisi ghum me ho
woh paudha ab bada hogaya hai...
vishal seena tane jamin pe khada hogaya hai.
aur woh baadal ka tukda nahin rha, meghraj hogaya hai
jo wahin ped ke daliyon pe pada rhata,khelta patte udata
Halki-halki thandi hawa ke thapkiyon se pend ko sulata
Ab to suraj bhi yahaan muskurata hai
Thodi der unke saath baith kar sustata hai.
Yeh pyaar ek khwaab hai........................... ..
adef482b3e52c3f17affe26545165814fc09209e96e3e3829d
woh matwala badal roz barsta
Saari dharti tapti, or woh sirfira
is chhoti banjar dhrti ko roz aakar sinchta.
yeh adbhut tha dekhna ki, har din woh badal
yahin kyun barsta hai, isi jagah par
kuchh din beete,or do chhoti si koplen niklin,
or woh baadal khub naacha,woh paagal khub barsa
kuchh waqt aur beeta,Ankur paudha bana
badal bhi ab bada hogaya
dono shayad saath me khelte hain...
kabhi baadal nahin aata to
woh paudha murjha jaata,jaise wo kisi ghum me ho
woh paudha ab bada hogaya hai...
vishal seena tane jamin pe khada hogaya hai.
aur woh baadal ka tukda nahin rha, meghraj hogaya hai
jo wahin ped ke daliyon pe pada rhata,khelta patte udata
Halki-halki thandi hawa ke thapkiyon se pend ko sulata
Ab to suraj bhi yahaan muskurata hai
Thodi der unke saath baith kar sustata hai.
Yeh pyaar ek khwaab hai...........................
bahot hi gahri soch...nice representation of thought.....keep it up ....and store ur poems....a treasury....
ReplyDeleteThank you,it means a lot to me...
Deletevery nice, for few of my favorite line read Hindi kavitayen
ReplyDelete